ruthe huon ko apne manane chale the hum bigdi hui thi baat banane chale the hum kya kahiye aasman tha wo ya zamin thi jis par gulon ka naqsh bithane chale the hum dekha unhen qarib se hum ne to ro diye jin bastiyon ko aag lagane chale the hum duniya ke naz dekh ke hairan rah gae goya usi ke naz uthane chale the hum viraniyon ne badh ke gale se laga liya le kar dilon mein kaise khazane chale the hum dekha jo aap apne liye ghair ho gae ghairon ko aaina to dikhane chale the hum