rabt kaisa tha dil-o-dida-o-jaan mein pahle tha koi aur jahan apne jahan mein pahle dil dhadakta hai to rone ki sada aati hai ek hangama sa rahta tha makan mein pahle khak si udti hai sine mein yaqin ke har dam qafile aa ke thaharte the guman mein pahle yak-ba-yak dil se chhalak padti thi ek mauj-e-tarab lazzat-e-jaan thi ajab shorish-e-jaan mein pahle ab taraddud hai tammul hai tassuf hai tamam tab thi gham mein tamanna thi fughan mein pahle ab jo hai garmi-e-bazar to hum is mein nahin hum bhi the garmi-e-bazar jahan mein pahle lahlahata hai jo qamat mein qayamat ka chaman ye sajawat to na thi sarw-e-rawan mein pahle saf-ba-saf bandish-e-a'za ka barahna cham-o-kham aisi yurish bhi na dekhi thi jahan mein pahle ye kashish kab thi bhala kaf-e-karam mein ki jo hai ye tapish kab thi bhala ru-e-butan mein pahle