sab apne apne khudaon mein ja ke baith gae so hum bhi khauf ki chadar bichha ke baith gae mujhe is aag ki tafsil mein nahin jaana jinhen banani thin khabren bana ke baith gae kabutaron mein ye dahshat kahan se dar aai ki masjidon se bhi kuchh dur ja ke baith gae hamara qahr hamari hi jaan par tuta tamam khak badan ki uda ke baith gae kal aaftab ko is tarah dubte dekha hum apne jalte diyon ko bujha ke baith gae yahan bhi jhankti rahti thin shak-bhari nazren so hum bhi ruh pe qashqa laga ke baith gae