sab badalte ja rahe hain sar-ba-sar apni jagah dasht ab apni jagah baqi na ghar apni jagah main bhi nadim hun ki sab ke sath chal sakta nahin aur sharminda hain mere ham-safar apni jagah kyun simatti ja rahi hain khud-ba-khud aabaadiyan chhodte kyun ja rahe hain baam-o-dar apni jagah jo kuchh in aankhon ne dekha hai main us ka kya karun shahr mein phaili hui jhuti khabar apni jagah main 'jamal' apni jagah se is liye hatta nahin wo ghadi aa jae shayad laut kar apni jagah