sine mein khizan aankhon mein barsat rahi hai is ishq mein har fasl ki saughat rahi hai kis tarah khud apne ko yaqin aae ki us se hum khak-nashinon ki mulaqat rahi hai sufi ka khuda aur tha shaer ka khuda aur tum sath rahe ho to karamat rahi hai itna to samajh roz ke badhte hue fitne hum kuchh nahin bole to teri baat rahi hai hum mein to ye hairani-o-shoridgi-e-ishq bachpan hi se minjumla-e-adat rahi hai is se bhi to kuchh rabt jhalakta hai ki wo aankh bas hum pe inayat mein mohtat rahi hai ilzam kise den ki tere pyar mein hum par jo kuchh bhi rahi hasb-e-riwayat rahi hai kuchh 'mir' ke haalat se hasil karo ibrat le de ke ab ek izzat-e-sadat rahi hai