sab chale tere aastan ko chhoD

sab chale tere aastan ko chhod
bad-zaban ab to is zaban ko chhod

mat utha yar tere kuche mein
aan baithe hain do jahan ko chhod

waqt-e-sakhti ke aah jati hai
jaan bhi jism-e-na-tawan ko chhod

sohbat-e-rast kab ho kaj se barar
tir aakhir chala kaman ko chhod

dast-e-be-dad-e-baghban se aah
hum chale aakhir aashiyan ko chhod

bagh se wo phira to murgh-e-chaman
lag chale sath gulsitan ko chhod

na-tawani se misl-e-naqsh-e-qadam
rahe na-chaar karwan ko chhod

ham-nashin kah tamam qissa-e-ishq
aaj-kal par na dastan ko chhod

ye mera haal hai jo wo qatil
uth gaya dam ke mehman ko chhod

jis tarah pher halq par khanjar
de koi murgh-e-nim-jaan ko chhod

kar jawani pe rahm 'jurat' ki
bas gham-e-ishq is jawan ko chhod


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close