sab kahte hain dekh us ko sar-e-rah zamin par kis rah se aaya ye utar mah zamin par bimar ki tere to kahani hai badi par qissa hai ab ek dam mein hi kotah zamin par tu chhat pe chadha us ke hai aisa ki bas aakhir chhodegi utarwa ke teri chah zamin par ye wo dil-e-muztar hai ki jun barq-e-tapida gahe ba-falak aae nazar gah zamin par kuchh soch ke bas kanpne lagta hun main 'jurat' padta hai qadam zor se jab aah zamin par