sab hamare liye zanjir liye phirte hain hum sar-e-zulf-e-girah-gir liye phirte hain kaun tha said-e-wafadar ki ab tak sayyaad baal-o-par us ke tere tir liye phirte hain tu jo aae to shab-e-tar nahin yan har su mishalen nala-e-shab-gir liye phirte hain teri surat se kisi ki nahin milti surat hum jahan mein teri taswir liye phirte hain moatakif garche ba-zahir hun tasawwur mein magar ku-ba-ku sath ye be-pir liye phirte hain rang-e-khuban-e-jahan dekhte hi zard kiya aap zor aankhon mein iksir liye phirte hain jo hai marta hai bhala kis ko adawat hogi aap kyun hath mein shamshir liye phirte hain sar-kashi shama ki lagti nahin gar un ko buri log kyun bazm mein gul-gir liye phirte hain ta gunahgari mein hum ko koi matun na kare hath mein nama-e-taqdir liye phirte hain qasr-e-tan ko yun hi banwa ye bagule 'nasikh' khub hi naqsha-e-tamir liye phirte hain