main jab bhi qatl ho kar dekhta hun to apnon hi ka lashkar dekhta hun main duniya apne andar dekhta hun yahin pe sara manzar dekhta hun kabhi taswir kar deta hun us ko kabhi taswir ban kar dekhta hun mujhe is jurm mein andha kiya hai ki binai se badh kar dekhta hun nashat-e-did tha aankhon ka jaana ki ab pahle se behtar dekhta hun wo manzar jo nazar aata hai khali khud apne rang bhar kar dekhta hun wo chehra hae wo chehra wo chehra jise khud se bhi chhup kar dekhta hun