sab jal gaya jalte hue khwabon ke asar se uthta hai dhuan dil se nigahon se jigar se aaj us ke janaze mein hai ek shahr saf-ara kal mar gaya jo aadmi tanhai ke dar se kab tak gae rishton se nibhata main talluq is bojh ko ai dost utar aaya hun sar se jo aaina-khana meri hairat ka sabab hai mumkin hai mere baad meri did ko tarse is ahd-e-khizan mein kisi ummid ke manind patthar se nikal aaun magar abr to barse ruthe hue suraj ko manane ki lagan mein hum log sar-e-sham nikal padte hain ghar se us shakhs ka ab phir se khada hona hai mushkil is bar gira hai wo zamane ki nazar se lagta hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaq' rone ki sada aati hai yaadon ke khandar se