dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata kisi pahlu se ye nadan samjhaya nahin jata namak-pashi mere zakhmon pe ye kah kah ke karte hain zara si baat mein yun ashk bhar laya nahin jata daraata kyun hai ai naseh mohabbat ki kashakash se phansa kar dil ko is kuche se katraya nahin jata meri zulfen hata kar rukh se wo kahte hain hans hans kar andheri raat hai aise mein sharmaya nahin jata gham-o-alam ne is darja hum ko kar diya ghayal khud apni dastan ko hum se dohraya nahin jata badi is bekasi ki manzilen pur-haul hoti hain kisi se jab koi 'tasnim' apnaya nahin jata