sab ke aage nahin bikharna hai ab junun aur tarah karna hai kya zarurat hai itne khwabon ki dasht-e-shab par hi to karna hai aa gae zindagi ke jhanse mein than rakkha tha aaj marna hai puchhna chahiye tha dariya ko dubna hai ki par utarna hai band-baja hai thodi der ka bas raat bhar kis ne raqs karna hai