use chhua hi nahin jo meri kitab mein tha wahi padhaya gaya mujh ko jo nisab mein tha wahi to din the ujalon ke phul chunne ke unhin dinon main andheron ke intikhab mein tha bas itna yaad hai koi bagula uttha tha phir is ke baad main sahra-e-iztirab mein tha meri uruj ki likkhi thi dastan jis mein mere zawal ka qissa bhi us kitab mein tha bala ka habs tha par nind tutti hi na thi na koi dar na daricha fasil-e-khwab mein tha bas ek bund ke girte hi ho gaya aazad wo haft-rang ujala jo mujh hubab mein tha