sab ke hathon mein aaj patthar hai aur nishane pe bas mera sar hai kash aakar zara koi dekhe qabil-e-did kitna manzar hai aisi khubi hai jaane kya us mein dekh le jis ko wo musahhar hai but-shikan nam jis ka hai mashhur ek payambar hai ibn-e-azar hai ab to jae aman kahin bhi nahin aafaton ka pahad sar par hai jal gae dhup ki tamazat se saeban hai na koi chhappar hai jism uryan hai baal bikhre hue ghar se bahar ye kis ki dukhtar hai shauq se sangsar ho jaun jurm koi agar mere sar hai ho sake to zara simat jao panw phailao jitni chadar hai kyon jhukaun main sar kahin ja kar mere sar ke liye tera dar hai ja ke masjid mein dekh le ai 'yas' adna aala wahan barabar hai