sab ki aankhon mein raha karte the fard hain qaum hua karte the ab talluq mein gharaz hai shamil dost bachpan mein hua karte the raste tal talaiya tile kitne ruman hua karte the us ka khush hona bahut bhata tha hum nishane ko khata karte the ishq parwan wahan chadhta tha jahan aaseb raha karte the hath to ab bhi milate hain log dil magar pahle mila karte the dast bardari hamein aati thi hum kaha man liya karte the kar liya khud ko hi barbaad aakhir waqt barbaad kiya karte the pahle aankhon ko mayassar the aap pahle hum sher kaha karte the