tanz karta hai aaina mujh par waqt kaisa ye aa pada mujh par ek halki si zarb mari thi shahr sara hi aa pada mujh par aisa lagne laga hai ab mujh ko har musibat ki intiha mujh par jaan de kar hi ho saka hai ada kai sadiyon ka qarz tha mujh par sura-e-nas padhta rahta hun koi jadu na chal saka mujh par dhundne ek bhi nahin nikla sabhi padhte hain fatiha mujh par umr guzri wafa-shiari mein qatl hona bhi farz tha mujh par log karte gae karam pe karam qarz badhta chala gaya mujh par chalta rahta hun bin thake 'parwez' khulta jata hai rasta mujh par