sab ki maujudgi samajhta hai dil kisi ki kami samajhta hai ek hi shakhs se main waqif hun jo mujhe ajnabi samajhta hai go mujhe jaanta nahin lekin wo meri shairi samajhta hai wasl ke ashk hijr ke aansu wo nami ko nami samajhta hai wahi meri zaban se hai waqif jo meri khamushi samajhta hai aap ke samne main khush hun magar mere dukh ram hi samajhta hai yahi urdu zaban ka hai jadu ab mujhe har koi samajhta hai main use baat dil ki kahta hun wo use shairi samajhta hai itna nadan bhi nahin hai wo jo tumhaari hansi samajhta hai kaun 'mahtab' ab tumhaara hai kaun dil ki lagi samajhta hai