us ki nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua dil tha sadaf misal ba-rang-e-guhar hua wo shokhiyan thin aur na wo rang-rup tha kal main bahut udas use dekh kar hua isar aur wafa ki mere dastan ye hai jab bhi watan pe war hue main sipar hua wo hadisa to koi bada hadisa na tha ye aur baat dil pe ziyaada asar hua aisa bhi ek dar hai isi kaenat mein us dar ka jo faqir hua tajwar hua ab ja ke mujh ko sard shabistan hua nasib barson tamam jism pasine mein tar hua dahshat-zada fazaon se wo be-niyaz tha jab us ka ghar jala hai to us par asar hua yaad aa gai thi mujh ko shahid-e-wafa ki pyas dariya ko dekh kar jo mera dil sharar hua patthar bhi phenkte koi aata nahin idhar budhe shajar ki tarah jo main be-samar hua jis din meri ghazal ne chhue us ke lab 'bashir' us din meri ghazal ka safar mo'atabar hua