sab ki nazron mein khar hain hum log apni hasti pe bar hain hum log gham ki daulat ka kya thikana hai ab bhi sarmaya-dar hain hum log apne rone pe aap hanste hain kaise ba-ikhtiyar hain hum log ab to manzil na koi naqsh-e-qadam karwan ka ghubar hain hum log hum se puchho ki azm kya shai hai maut se ham-kanar hain hum log gham ke mare zarur hain 'ahmad' phir bhi gham ka waqar hain hum log