wo ahd-e-mukhlisana ab kahan hai ladakpan ka zamana ab kahan hai wahi hai chand tare bhi wahi hain mohabbat walihana ab kahan hai sarab-e-zindagi aankhon mein raushan nigah-e-tairana ab kahan hai ayan zulmat ke pahre basti basti wo azm-e-fatehana ab kahan hai tajassus mein hamari umr guzri muhajir ka thikana ab kahan hai sanad ka zoam zehn-o-dil mein lekin shuur-e-alimana ab kahan hai koi 'ghaalib' koi 'iqbaal' 'nashtar' wo mansab shairana ab kahan hai