sab ki sab kya hain shab-e-qadr hamari raaten katti hain aankhon hi mein hijr ki sari raaten hae kya pyar se sote the lipat kar ai jaan yaad har dam mujhe aati hain wo pyari raaten donon zulfon mein hain khurshed se taban aariz roz-e-raushan ke barabar hain tumhaari raaten jo ghadi hai nazar aati hai mujhe ek pahad hain ghazab furqat-e-mahbub ki bhaari raaten hijr mein subh se ta-sham bajae shabnam meri aankhon se lahu rakhti hain jari raaten sun pade rahte hain be-yar andhere mein hum hain shab-e-gor ke manind hamari raaten shab-e-tarik judai mein ye chillata hun diq bahut karti hain ya-hazrat-e-bari raaten teri zulfon ke liye shana-ba-kaf hai har din aur karti hain teri aaina-dari raaten fasl-e-gul mein wo gul-e-tar nahin gul kar de charagh ki siyah chahiyen ai baad-e-bahaari raaten murgh-e-zarrin-e-falak par hai yaqin-e-khuffash kis qadar mere dinon mein huin sari raaten din ke badle bhi yahi aati hain gham-khwari ko mujh se rakhti hain bahut hijr mein yari raaten din to 'nasikh' ke ba-har-haal guzar jate hain par judai mein bahut lati hain khwari baaten