main kahan aur arz-e-haal kahan wo kahan aur mera khayal kahan main sitara na tum gulab hue mil rahe hain magar visal kahan aag sochun to khak likhta hun muttafiq lafz aur khayal kahan hai wafa ka sila wafa sach hai lekin aisi koi misal kahan mujh ko pamal-e-umr karte hue ja rahe hain ye mah-o-sal kahan puchhta hun jawaz-e-kaun-o-makan le gai jurat-e-sawal kahan 'asadullah'-khan ki den hai ye 'shauq' tum aise khush-khayal kahan