sab ki sunte hain hum apni baat bahut kam kahte hain

sab ki sunte hain hum apni baat bahut kam kahte hain
ek taswir mein har lamha hum khoe khoe rahte hain

raaz-e-mohabbat lakh chhupaya fash magar ho kar hi raha
hum to zaban se kuchh nahin kahte aansu bahte rahte hain

jin ki khatir duniya bhar se hum ne nata tod liya
waqt pada to wo bhi hum ko begana hi kahte hain

dukh dena aasan hai pyare dukh sahna aasan nahin
ye to hamari hi himmat hai hans hans kar dukh sahte hain

is se badh kar aur qayamat ai gham-e-dauran kya hogi
yaad bhi ab wo kam aate hain aansu bhi kam bahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close