sab ko khud se bacha raha hun main apna naqsha mita raha hun main dil ka tere hua main jaan-e-jaan purza purza uda raha hun main ya sajata hun teri doli ya apni mayyat saja raha hun main taki phir sher ka dhamaka ho roz barud kha raha hun main dil ke main ne badhae dam bahut jaan sasti bana raha hun main dhong hai ye meri nai ulfat ab bhi wada nibha raha hun main baat manhus ek sunane ko pahle achchhi suna raha hun main id diwali ho ki baisakhi jashn-e-urdu mana raha hun main tang aaya hata ke kanton ko ab to rasta hata raha hun main ab to dete nahin ghulami bhi dur tha ek khuda raha hun main aag lagne ki chah se hi to shama ghar mein jala raha hun main ab tera zahar phaile bahar bhi ab to 'maghlub' ja raha hun main