sab ko ye fikr hath se ab ek pal na jae duniya hudud-e-waqt se aage nikal na jae sab ko fareb de magar itna rahe khayal bahrup bharte bharte ye chehra badal na jae gham se nibah kijiye is tamkanat ke sath dil ka sharara aankh ki had tak machal na jae zauq-e-nazar diya hai to zarf-e-nazar bhi de dar hai mujhe shuur ki wusat nigal na jae sunta hun aap meri ayaadat ko aaenge karta hun sau jatan ki tabiat sambhal na jae wo dard hai ki phat na pade dil kahin 'nadim' wo khauf hai ki ridh ki haddi pighal na jae