sab kuchh khak hua hai lekin chehra kya nurani hai patthar niche baith gaya hai upar bahta pani hai bachpan se meri aadat hai phul chhupa kar rakhta hun hathon par jalta suraj hai dil mein raat ki rani hai dafn hue raaton ke qisse ek chhat ki khamoshi mein sannaton ki chadar odhe ye diwar purani hai us ko pa kar itraoge kho kar jaan ganwa doge baadal ka saya hai duniya har shai aani-jaani hai dil apna ek chand-nagar hai achchhi surat walon ka shahr mein aa kar shayad hum ko ye jagir ganwani hai tere badan par main phulon se us lamhe ka nam likhun jis lamhe ka main afsana tu bhi ek kahani hai