sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain tewar tere ai rashk-e-qamar dekh rahe hain hum sham se aasar-e-sahar dekh rahe hain mera dil-e-gum-gashta jo dhunda nahin milta wo apna dahan apni kamar dekh rahe hain koi to nikal aaega sarbaz-e-mohabbat dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain hai majma-e-aghyar ki hangama-e-mahshar kya sair mere dida-e-tar dekh rahe hain ab ai nigah-e-shauq na rah jae tamanna is waqt udhar se wo idhar dekh rahe hain har-chand ki har roz ki ranjish hai qayamat hum koi din us ko bhi magar dekh rahe hain aamad hai kisi ki ki gaya koi idhar se kyun sab taraf-e-rahguzar dekh rahe hain takrar tajalli ne tere jalwe mein kyun ki hairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe hain nairang hai ek ek tera did ke qabil hum ai falak-e-shobada-gar dekh rahe hain kab tak hai tumhaara sukhan-e-talkh gawara is zahr mein kitna hai asar dekh rahe hain kuchh dekh rahe hain dil-e-bismil ka tadapna kuchh ghaur se qatil ka hunar dekh rahe hain ab tak to jo qismat ne dikhaya wahi dekha aainda ho kya nafa o zarar dekh rahe hain pahle to suna karte the aashiq ki musibat ab aankh se wo aath pahar dekh rahe hain kyun kufr hai didar-e-sanam hazrat-e-waiz allah dikhata hai bashar dekh rahe hain khat ghair ka padhte the jo toka to wo bole akhbar ka parcha hai khabar dekh rahe hain padh padh ke wo dam karte hain kuchh hath par apne hans hans ke mere zakhm-e-jigar dekh rahe hain main 'dagh' hun marta hun idhar dekhiye mujh ko munh pher ke ye aap kidhar dekh rahe hain