sab mein hun phir kisi se sarokar bhi nahin ghafil agar nahin hun to hoshyar bhi nahin qimat agar wo dete hain takrar bhi nahin kuchh hum ko dil ke dene mein inkar bhi nahin nisbat hai jism o ruh ki allah-re ittihad subha agar nahin hai to zunnar bhi nahin baitha hun us ki yaad mein bhula hun ghair ko zahid agar nahin hun riya-kar bhi nahin jaen wo qatl-e-ghair ko hum rashk se maren aisi to apni jaan se bezar bhi nahin aana ho aao warna ye kah do na aaenge sun lo ye do hi baaten hain tumar bhi nahin sauda tamam ho gaya bazar uth gaya wo dil bhi ab nahin wo kharidar bhi nahin tarz-e-jafa bhi bhul gai kya wafa ke sath dil-dar gar nahin ho dil-azar bhi nahin lenge hazar dar se palat kar dar-e-murad munim na den to kya teri sarkar bhi nahin bhejenge hasb-e-haal unhen go na likh saken kya daman aur dida-e-khun-bar bhi nahin bulbul chaman ko dekh khizan ke sitam ko dekh gul ka to zikr kya hai kahin khar bhi nahin aazad hain sharab ke aadi nahin 'habib' ahbab gar pilaen to inkar bhi nahin