sab ne mujh hi ko dar-ba-dar dekha be-ghari ne mera hi ghar dekha band aankhon se dekh li duniya hum ne kya kuchh na dekh kar dekha kahin mauj numu ruki to nahin shakh se phul tod kar dekha khud bhi taswir ban gai nazren ek surat ko is qadar dekha hum ne us ne hazar shewa ko kitni nazron se ek nazar dekha ab numu paenge dilon ke zakhm hum ne ek phul shakh par dekha