sab gham kahen jise ki tamanna kahen jise wo iztirab-e-shauq hai hum kya kahen jise hai johd-e-munfarid sabab-e-karobar-e-dahr ek iztirab-e-qatra hai dariya kahen jise neamat ka e'tibar hai husn-e-qubul se ishrat bhi ek gham hai gawara kahen jise milta nahin hai ahl-e-junun ka koi suragh bas ek naqsh-e-pa hai ki sahra kahen jise pahle hayat-e-shauq thi allah-re inqalab ab e'tibar-e-gham hai tamanna kahen jise hai mere kaenat-e-tasawwur ka ek fareb wo jalwa-e-khayal ki duniya kahen jise kuchh kam-nigahiyan hain tajalli ki aad se aisi bhi ek nigah-e-tamasha kahen jise tanhai-e-khayal se 'tabish' ye haal hai aisa koi nahin ki hum apna kahen jise