sab rang na-tamam hon halka libas ho shaffaf paniyon pe kanwal ka libas ho ashkon se bun ke marsiya pahna diya gaya ab zindagi ke tan pe ghazal ka libas ho har ek aadmi ko mile khilat-e-bashar har ek jhonpadi pe mahal ka libas ho sun le jo aane wale zamane ki aahaten kaise kahe ki aaj bhi kal ka libas ho ya rab kisi sadi ke ufuq par thahar na jae ek aisi subh jis ka dhundalka libas ho ujla rahega sirf mohabbat ke jism par sadiyon ka pairahan ho ki pal ka libas ho