ihanat-e-dil-e-sabr-azma nahin karte buland hum bhi ye dast-e-dua nahin karte sar ahl-e-ishq ke aksar jhuka nahin karte agar jhuke bhi kahin phir utha nahin karte wo baat un ki nigahen batae deti hain jise wo apni zaban se ada nahin karte dalil-e-tabish-e-iman hai kufr ka ehsas charagh sham se pahle jala nahin karte umid ahd-e-wafa aur un buton se 'shakil' jo bhul kar bhi kisi se wafa nahin karte