sab se tum achchhe ho tum se meri qismat achchhi

sab se tum achchhe ho tum se meri qismat achchhi
yahi kam-bakht dikha deti hai surat achchhi

husn-e-mashuq se bhi husn-e-sukhan hai kamyab
ek hoti hai hazaron mein tabiat achchhi

meri taswir bhi dekhi to kaha sharma kar
ye bura shakhs hai is ki nahin niyyat achchhi

kis safai se kiya wasl ka tu ne inkar
is mahal par to zaban mein teri luknat achchhi

jo ho aaghaz mein behtar wo khushi hai bad-tar
jis ka anjam ho achchha wo musibat achchhi

tum batao to sahi mehr-o-mohabbat ke gawah
aise dawe mein to jhuti hi shahadat achchhi

zor-o-zar se bhi kahin 'dagh' hasin milte hain
apne nazdik to hai sab se itaat achchhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close