sach hai teri hi aarzu mujh ko kahin jine de yunhi tu mujh ko banda-e-nau-kharid hun har dam rakhiye aankhon ke ru-ba-ru mujh ko kal tak us ki talash thi lekin aaj hai apni justuju mujh ko pahle wo tha ki tum na the aagah ab wo hun sun lo ku-ba-ku mujh ko wan shikayat pe wo hikayat hai ki nahin ja-e-guftugu mujh ko ai hayat-e-do-roza le aai kin giraftariyon mein tu mujh ko 'dagh' yaksu ho khush nahin aati na-umidana aarzu mujh ko