sab tod ke bandhan duniya ke main pyar ki jot jagaungi ab maya-jal se niklungi aur joganiya kahlaungi tu ne to prem ki kutiya ko pal-bhar mein jala kar rakh kiya ab meri chita tayyar karo main sath sati ho jaungi ye duniya lobhan nari hai hans hans kar sab se kahti hai tum sone ke ban kar aao main jai-mala pahnaungi tum man dhan prem ke mandir par main war ke bahar baithi hun ek sans ki duri atki hai ab is ki bhent chadhaungi ye maili odhni odhungi wo aaega to dho lungi wo khele dhan mein daulat mein ab main us dwar na jaungi ek murakh se byopari ne bin-mol mera man bech diya main nagri nagri ghumungi aur prem ka mol chukaungi nainon ka kajra bhig gaya baini ka gajra tut gaya ab bhor-bhae ghar aaya to ban kar main so jaungi