safar ki aakhiri manzil ke rahbar hum hain hamare sath chalo gard-e-rahguzar hum hain likhi hain chehron pe jo surkhiyan padho un ko khabar ho aam ki duniya se ba-khabar hum hain akela-pan hamein mahsus kab hua ab tak ki dasht dasht hain lekin nagar nagar hum hain ghanere sae na dhundo yahin pe dam lo zara ki jis ki chhanw mein thandak hai wo shajar hum hain samundaron se kaho wo simat ke aa jaen ki is jahan mein akele hi kuza-gar hum hain wo khub shakhs hai dekha hai mil ke hum ne use magar hai ye bhi haqiqat ki khub-tar hum hain