saba dekh ek din idhar aan kar ke ye dil bhi pada hai gulistan kar ke yahi dil jo ek bund hai bahr-e-gham ki dubo dega sab shahr tufan kar ke miyan dil ko is aaina-ru ke aage jo rakhna to yak-lakht hairan kar ke khuda jaane kya asliyat ghair ki hai dikhe hai bani-nau-e-insan kar ke use ab raqibon mein pate hain aksar rakha jis ko khud se bhi anjaan kar ke dikha denge achchha isi fasl-e-gul mein gareban ko hum gareban kar ke hamare to ek ghar bhi hai bhai majnun pade hain usi ko bayaban kar ke