saba ka raaz bhi phulon ke darmiyan khula us ek dar ke tawassut se gulsitan khula qafas mein qaid parindon ke par nahin khulte nazar ke samne lekin hai aasman khula abhi to lafz bhi aawaz ke bhanwar mein hain abhi se kaise maani ka baadban khula falak pe ghor ghataen sarab hone lagin saron pe dhup ka jis waqt saeban khula tamam shahar ki tanhaiyan mukammal hain koi bhi 'hashmi' lagta nahin makan khula