raat ka apna ek taqaddus hai so use paemal mat karna jab diye guftugu ke raushan hon lautne ka sawal mat karna mausam-e-yaad ka koi jhonka, ab jo guzre tumhaari khalwat se soch lena hamare bare mein, par hamara malal mat karna rat-jagon ki ruten to khair yunhi aati jati hain, par ye dhyan rahe jagna bhi to is saliqe se, apni aankhon ko lal mat karna hum se darwesh duniya walon se, bas isi baat par ulajhte hain wahshat-e-jism-o-jaan badi shai hai khud ko aasuda-haal mat karna dasht-e-ibrat-sara mein rahna tu sar se sauda nikal kar rakhna log dushman kahin na ho jaen koi aisa kamal mat karna lamha-e-hijr apni wusat mein, aap lazzat hai, zindagi bhar ki tum bhi 'khalid-moin' yun karna, umr sarf-e-visal mat karna