saba ki baat sunen phul se kalam karen bahaar aae to hum bhi junun mein nam karen na koi ret ka tila na saya-dar darakht rah-e-wafa mein musafir kahan qayam karen qadam qadam pe mile bolte hue patthar tumhi batao ki ab kis se hum kalam karen mahak udati hui aai hai nasim-e-bahaar kaho ab ahl-e-chaman se ki fikr-e-dam karen hamari rah mein diwar ban gai duniya tumhaare shahar mein kis kis ko hum salam karen wo jin ke dam se zamane ke khwab rangin hain hamari nind bhi aa kar kabhi haram karen dhuan dhuan si faza shahr-e-dil ki hai 'parwaz' nae charagh jalane ka intizam karen