leta hua hun saya-e-ghurbat mein ghar se dur dil se qarin hain ahl-e-watan aur nazar se dur jab tak hai dil rahin-e-maal-o-asir-e-aql rahna hai tujh se aur teri rahguzar se dur ai kaif un ki mast nigahon mein chhup ke aa ai dard-e-dam zadan mein ho mere jigar se dur ek din ulatne wali hai zahid bisat-e-zohd kab tak rahega dil nigah-e-fitna-gar se dur wo koi zindagi hai jawani hai wo koi ai dost jo hai tere jamal-e-nazar se dur kya aai tere ji mein ki taqdir yun mujhe phenka hai la ke wadi-e-ghurbat mein ghar se dur ai husn-e-be-panah batae koi mujhe duniya ki kaun chiz hai tere asar se dur allah re nasib ki pai hai wo fughan jo umr bhar rahi hai fareb-e-asar se dur 'altaf' naz apni gadai pe hai mujhe daman hai us ka saya-e-lal-o-gohar se dur