saba ko fikr hai kaba naya banane ki ki jama karti hai khak un ke aastane ki falak ko zid hai nasheman mera mitane ki chaman mein dhun hai mujhe aashiyan banane ki zamin pe lala-o-gul se hai ibtada-e-bayan shafaq hai aakhiri surkhi mere fasane ki isi se niklega tamir ka bhi ek pahlu zarur chahiye takhrib aashiyane ki hazar jalwa-e-be-rang sad mataa-e-nazar nahin hai husn ko hajat naqab uthane ki khula ye raaz ki thin kis qadar fareb-e-nazar ajal ke bhes mein ranginiyan zamane ki asiro kar lo nasheman ka aakhiri matam qafas mein aai hai khak ud ke aashiyane ki suni thi wusat-e-duniya ki dastan hum ne magar mili na jagah aashiyan banane ki ye kah ke palte hain duniya ke dekhne wale ki ye jagah nahin wallah dil lagane ki bana bahaar mein ujda khizan mein ai 'afqar' haqiqat itni hi bas apne aashiyane ki