wo bewafa koi dam aur jo thahar jata rah-e-talab mein ye dil yun na dar-ba-dar jata teri gali mein fasane bikherne ke liye ye lazmi tha ki hum sa hi be-khatar jata tujh ajnabi ka ho kya gham ki is andhere mein main apne-ap ko khud dekhta to dar jata tumhaari bandish-e-adab se nazar jagi main be-khabar to yunhi rah se guzar jata mujhi mein ho na kisi aanch ki kami warna koi sukhan to teri ruh tak utar jata koi nigah to hoti sukun-shanas kabhi koi nafas to kisi mod par thahar jata wo bu-e-gul hai to hum mauja-e-saba 'anjum' wo hum se bach ke chala tha magar kidhar jata