saba mein tha na dil-awezi-e-bahaar mein tha wo ek ishaara ki is chashm-e-waza-dar mein tha guzar kuchh aur bhi aahista ai nigar-e-visal ki ek umr se main tere intizar mein tha hawa-e-dahr ki zad mein bhi aa ke bujh na saki bala ka hausla ek sham-e-rahguzar mein tha hum apni dhun mein chale aae jaanib-e-manzil palat ke dekha to ek karwan ghubar mein tha mila to phul khil utthe the shakh-e-mizhgan par juda hua to lahu chashm-e-ashk-bar mein tha tujhe pukar ke chup ho gae hain diwane bas ek nara-e-mastana ikhtiyar mein tha ab ek kiran bhi nahin nim-wa dariche mein khusha wo din ki koi mere intizar mein tha hawa-e-kam-nigahi ne bujha diya warna mein wo charagh ki raushan harim-e-yar mein tha teri nigah se ojhal sahi magar 'mohsin' khizan ka aks bhi aaina-e-bahaar mein tha