siwae rahmat-e-rab kuchh nahin hai bahut kuchh tha magar ab kuchh nahin hai jahan main hun magar kya jaaniye kyun mujhe duniya se matlab kuchh nahin hai ye waqt-e-naza hai kya nazr dun main ab aae ho yahan jab kuchh nahin hai andhere mein wo sujhi ye na sujhi teri shab hai meri shab kuchh nahin hai faqat taqdir ki kaya palat hai munasib aur insab kuchh nahin hai na puchho dil se us ki rah ka haal siwa-e-ishq mazhab kuchh nahin hai na ho gar sham-e-hijran ke barabar tu bahar-e-wasl ek shab kuchh nahin hai pas-e-dil ab kahan aabaadi-e-dahr jo sab kuchh tha wahi sab kuchh nahin hai khuda ka wasta kya dun use main jahan main jis ka mazhab kuchh nahin hai chaman tha jab chaman tha aashiyan bhi wahin tha main jahan ab kuchh nahin hai muhassal nazm-e-'saqib' ka na puchho faqat lafzen hain matlab kuchh nahin hai