saba ne kan mein aa kar kaha mile hi nahin hasin log tere ganw mein rahe hi nahin hamein kya ilm ki kya shai hai aabla-pai hum apne kamre se bahar kabhi gae hi nahin hamein bachane pe raazi tha ek jahan magar phir ek mod wo aaya ki hum bache hi nahin tamam shahar ne mil-jul ke kar liye taqsim ye hadsat mere yar jab tale hi nahin mujhe girane pe aandhi ka zor tha kitna mere lagae hue ped to gire hi nahin