saba se aati hai kuchh bu-e-ashna mujh ko bula raha hai mere khun ka zaiqa mujh ko hanuz safha-e-hasti pe hun main harf-e-ghalat koi hanuz hai likh likh ke katta mujh ko hazar chehra tilism-e-gurez-pa hun main asir kar na saka koi aaina mujh ko chala hi jaun main parchhaiyon ke des ko aur pukarta rahe kirnon ka qafila mujh ko yahi hain rat-jage jab se khulin meri aankhen na tha wo khwab mera ek azab tha mujh ko chala tha main to samundar ki tishnagi le kar mila ye kaisa sarabon ka silsila mujh ko ye baat kis se kahun aah ek gul-e-khubi bade hi pyar se kanta chubho gaya mujh ko