sabab nahin tha koi yun to apne rone ka hua tha shauq magar aastin bhigone ka ye kis khayal mein din-raat ab guzarte hain na jagne ka koi waqt hai na sone ka hum apne aap ko pane mein is qadar gum the hamein mila hi nahin waqt us ko khone ka wo mauj-e-tund bhi dariya ki tah mein dub gai jise tha shauq bahut kashtiyan dubone ka bas ek lams ki shahid to meri hasti hai ajab surur tha mitti tere khilaune ka