rawana wo bhi hua hai nae safar ke liye

rawana wo bhi hua hai nae safar ke liye
talash karni hai roti mujhe bhi ghar ke liye

dikhai deta hai suraj bhi kuchh pareshan sa
udas main hi nahin hun kisi shajar ke liye

safar pe jaun main asbab aur kya le kar
ki teri yaad hi kafi hai rahguzar ke liye

bichhadte waqt udasi ka rang tha jin par
nazar ne bose bahut aise baam-o-dar ke liye

ghubar kab hai khula hai rafaqaton ka gulab
hua nahin hai koi khat hai be-khabar ke liye

madina chhoda to kufa hua nasib hamein
ki hijraten hi milin hum ko umr-bhar ke liye

sipah-e-sham hamein aaftab kahti hai
bulandiyan hain sinan ki hamare sar ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close