sabab talash na kar bas yunhi hai ye duniya wahi bahut hai jo kuchh jaanti hai ye duniya khulat mein band hain konpal ke sote jagte rang parat parat mein nai dilkashi hai ye duniya ulajhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke siwa bahut haqir hain hum tum badi hai ye duniya ye log sans bhi lete hain zinda bhi hain magar har aan jaise inhen rokti hai ye duniya bahut dinon to ye sharmindagi thi shamil-e-haal hamin kharab hain achchhi bhali hai ye duniya hare-bhare rahen tere chaman tere gulzar hara hai zakhm-e-tamanna bhari hai ye duniya tum apni lahr mein ho aur kisi bhanwar ki tarah main dusra hun koi tisri hai ye duniya wo apne sath bhi rahte hain chup bhi rahte hain jinhen khabar hai ki kya bechti hai ye duniya 'khizan' na soch ki bikti hai kyun badan ki bahaar samajh ki ruh ki sauda-gari hai ye duniya